Aaj Baghdad Main Koi Qaidi Mir Hasan Mir Nohay Imam Musa Kazim Noha Shahadat e Musa Ibn Jaffer
Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
Tere baba ka zakhmi lasha,baghdad ke pul per rakha hai
Ya imam raza,ya imam raza,ya imam raza
Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
Pul pe tere gareeb baba ka,hai janaza rakha raza maula
Ik bibi sirhane bethi hai,kis ne jane use khabar ki hai
Hath pehlu pe apne rakhe hue aayi hai Fatima raza maula
Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
Raat se pul pe lasha rakha hai jo guzarta hai us pe hansta hai
Be basi per tumhare baba ki,ro rahi hai qaza raza maula
Haal ache nahi hai mayat ke,aaja aijaz se imamat ke
Shehr e baghdad se madine ka hai bohat fasla raza maula
Ik manadi nida ye deta hai,rafizyon ka maula maara gaya
Aaj aulad per Muhammad ki waqt kiya agaya raza maula
Kabhi dadi ko yaad kerta tha,kabhi beti ko yaad kerta tha
Waqt e akhir tha us ke honton per,Fatima Fatima raza maula
Aj baghdad mai koi qaidi,hogaya hai riha raza maula
Qaid khane se pul talaq us ko,chand mazdoor le ke aye hainBeriyon ke nishan gurbat ka,de rahe hai pata raza maula
Touq gardab ka paon ki beri,yeh taqallum sadain dete hain
Inna lillah parh ke baba ka,ab janaza utha raza maula